Kis tarha Aal-e-Mohammad pay huway zulm o jafa Yeh bata Karbobala, yeh bata Karbobala
Pani hotay huway kyun Ibn-e-Ali pyaasa raha Yeh bata Karbobala, yeh bata Karbobala
1. Shab-e-Ashur ko dulha jo bana tha Qasim, hai dulha Qasim Kis tarha dasht main woh ghoron say pamaal huwa
2. Jab Alamdar kay bazoo huway maqtal main juda, zeen par rukh na saka Zeen say khaak pay kis tarha Alamdar gira
3. Ali Akbar jisay kehti thi Ali ki beti, woh tha hum Shakl-e-Nabi Us kay laashay pay Hussain ibn Ali kaisay gaya
4. Laykay Beemar ka paigham jo Yasrab say chala, ashk barsata huwa Hai kis waqt pay woh Qasid-e-Sughra poncha
5. Apnay Baba ko jo baba bhi bol na saka, ghutlion bhi na chala Teer kaisay usi masoom ki gardan pay laga
6. Teer say jaldi vazan tak mu say khoon jari tha, lab pay tha Shukr-e-Khuda Sajdah-e-Akhri Shabbir nay kis tarha kiya
7. Baap kay seenay pay bachi jo sada soti thi, Shaam-e-Ghurbat main wohi Kis tarha teeron baray seenay pay soyee tanha
8. Qafila ghyara Muharram ko rawanon jo huwa, bay rida tha kunba Sar jukaye huway kis tarha say Beemar chala |