Ham rahain ya na rahain ye azadari rahay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Hum Rahain Ya Na Rahain Yeh Azadari Rahay
Shama se Shama Jale .......

1. Apni Naslon Lo Sikhate Raho, Matam ka hunar,
Seena dar Seena Kare, Bus Yeh Azadari Safar,
Jaise Halaat Bhi Ho, rasm yeh Jaari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale .......

2. Laakh Badle yeh Zamane Ki ravish aur Mausam
Ek Pal Bhi Na Ruke Ashk E Aza Aur Matam,
Matam E Sheh Ka Junoon Zehen Par taari rahe
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale .......

3. Tum agar Zakir E Shabbir (As) Ho Yeh Yaad Rahe,
Chahe Is gham ke Liye sar Bhi kate Ghar Bhi Jale
Hurmat E Farsh E Aza, Jaan Se Pyari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale

4. Yeh Sabile yunhi Aabad rahe Ahle Aza,
Aur Ghar Ghar Pe Nazar Aaye Alam Ghazi (As) Ka,
ye alam Ooncha Rahe Yeh Alamdari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale

5. Duniya Walon Ki Na Parvah haan na kuch baat Karo,
Mannati Bediyan Sajjad ke gham Me Pehno,
Raunake Farsh E Aza Girya O Zaari Rahe
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale

6. Maao Behno Ko Hai Paigam mera sirf yehi,
Aapne Bacchon Julooson Se Nahi Roko Kabhi,
Yeh Shahadat Hai Sharaf, Yeh Sharaf Jaari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale

7. Apne Ghar Mein Bhi azakhaana Sajana hai Mujhe
Apne Bacchon Ko Azadar Banana Hai Mujhe
TaaKe Is Nasl Mein bhi Taziadaari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale

8. Majlis E Shah (As) Ki Zindan Mein Jo Buniad Rakhi,
Asl Me Zainab O Sajjad Ki Khwaish Thi Yahi
Yeh Azadar Rahe Yeh Azadari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale

9. Majlis O Matam E Shabbir (As) ki Tableegh Karo,
Baat Yeh Mazhar O Irfan Zamane Se Kaho,
Munkir E Zahra(sa) Se Har Haal Me Bezaari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.
Shama se Shama Jale