Dunya se ja raha hay baradar Hussain(as) ka Ab Karbala hay aur muqaddar Hussain(as) ka
Khaya zahar to us se zameen par giray Hasan(as) Seenay pe hath rakh ke tarrapnay lagay Hasan(as) Uth kar kabhi giray kabhi gir kar uthay Hasan(as) Jada ke ghar se yun hi tarrap ke chalay Hasan(as)
Ummat ne haey kuch na pas e adab kia Zehr e sitam Hasan(as) ko pilaya ghazab kia ---------------------------- Misle charagh e shaam ye kehtay huay chalay Deewar ke saharay sambhaltay huay chalay Pehlu tarrap tarrap ke badaltay huay chalay Munh se jigar ke tukrray ugaltay huay chalay
Hay kon wo jo pas bulaye Hussain(as) ko Bhai ka haal ja ke sunaye Hussain(as) ko --------------------------- Qasim ko ghar pohonch ke bulaya Imam ne Seenay se us ko apnay lagaya Imam ne Hathon se chak kar diya kurta Imam ne Aisay dar e Hussain(as) pe bhaija Imam ne
Bolay ye ro ke bhai hamara qareeb hay Wo khud hi jan le ga ye koi yateem hay -------------------------- Qasim ko dekh kar Sheh e Abrar ro parray Roey Hussain(as) to dar o deewar ro parray Shehr e Nabi ke koocha o bazaar ro parray Chehray pe hath rakh ke alamdar ro parray
Pa kar khabar Hussain(as) jo aaye Hasan(as) ke pas Bikhray parray thay tukrray jigar ke lagan ke pas -------------------------- Sar peet-tay rahay kabhi rotay rahay Hussain(as) Qasim ko bheenchay seenay lagaye rahay Hussain(as) Abbas ko bhi haey sambhaley kiye Hussain(as) Taboot e Mujtaba ko utha kar chalay Hussain(as)
Matam ka shor utha makan e Rasool se Taza lahoo rawan hua qabr e Batool se -------------------------- Pohonch janaza qabr e Rasool e Anam par Shabbir ki nigah parri azdaham par Paikan liye kharray thay kaye log waan par Aaya nahi jawab salam e Imam par
Aawaz aayi kis liye aaye ho tum yahan Kis ka janaza hay ye jisay laye ho yahan -------------------------- Phir lash e Mujtaba pe kaye teer chal parray Keenay jo thay dilon may woh bahar nikal parray Kuch log naizay khaichay janazay pe pal parray Lash e Hasan(as) se khoon ke darya ubal parray
Paikan chalay to taray kafan saray phat gaye Ro kar Hussain(as) lash e Hasan(as) se lipat gaye ------------------------- Mayyat se apnay bhai ki liptay rahay Hussain(as) Abbas e ba wafa ko sambhalay rahay Hussain(as) Is joar is jafa ko bhi sehtay rahay Hussain(as) Maro na teer ro ke ye kehtay rahay Hussain(as)
Lab par tha bas ye aik sukhan wa Muhammada Teeron se chaidi lash e Hasan(as) wa Muhammada ------------------------- Teer e Sitam janaza e Sibt e Rasool par Aatish ki barish gulshan e Zehra ke phool par Yun zalzalay bapa huay qabr e Batool par Ummat Nabi ki chalti hay kis ke usool par
Aey Noor ho raha hay ye aagaz e Karbala Taboot e Mujtaba hay ba nadaz e Karbala
|