Mera shabbir khuda ka hay who andaaz-e-kalam jahaan nakaam hain tashbeeh kay qareenay bhi tamaam
1) Husn iss naam may kitna hai may kia paaish karoon kaisi tarteeb may lafzoon ki ada paish karoon Iski tauseef to hai iss kay musawwer ka hee kaam
2) aisa hai dard, yateemoon kay har aik dard liya seena zakhmoon say bhara, zakhm koi bhi na bhara sabr kay arsh-e-muazzam, terri azmat ko salam
3) jalwa-e-toor bani zakhmi jabeen-e-akbar chashm-e-pur aaab hai maanand-e-chasma-e-kauthar rukh pay payghaam-e-khun-e-asghar hai insaaanoon kay naam
4) deekho teeroon kay falak par hai zabeeh-e-akbar qaaba qausain key manzil pay ho jaisay sarwar[pbuh] jahaan haidar[as] nahi parday may hai zainab ka kalaam
5) meeray maalik may musaafir hoon lutta betha hoon haat khaali teeray dar par main ab aata hoon ab to ro ro kay sakina bhi gayey sooy-e-khayaam
6) ayey awaaz keh itni na inkisaari kar may to chahta hoon meray paas yaan mukhtaari kar ye to kaafir hain bhaala jaanein keh kia terra maqaam
7) may hoon ahad tu munfirid hai payambar merra may musawwer hoon tu logoon may tasawwur merra may hooon ghafaar to bakhshish ka sabab terra hee naaam
8) barri qayyem hai yeh bhi sabr-o salaat terii may misl maah to milal khauf may bardaasht terri terri har nafs-e-mutmayenna adda ko hai salaam
9) tu hai be-aas meeri aas ay merray shabbir ye merray haidari aasai bhi terray daman geer terray mazloom azadaroon par doozakh hai haraam
|