Dilband e Fatima pe zalim reham na aaya
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Dilband-e-Fatima pe zaalim reham na aaya
Tashna labi main tu nai mehman ka khun bahaya

1) Bai ghoro bai kafan tha lasha shahai zaman ka
Ser nok-e-naiza per hai darbar shaam aaya

2) Abbas tum kahan ho lo khaimai jal rahain hain
Bai perda bibiyon pe hai aasman ka saya

3) Asgher to bai kafan the laikain the khoon-e-Haider
Hurmal nai teer khaincha masoom muskaraya

4) Bazar-e-Shaam main jab aayi Ali ki beti
Tufan patharon ka charon taraf sai aaya

5) Quran perhnai walai woh kaisai musalman thai
Tasveer Fatima ko derbar main bulaya

6) Gulzar Kerbala main aayai Quran walai
Afsos bai kason ko pani mila na saya