Al ajaal labayk-e mawla (x3)
Sari dunya me ujalaa, noor ka hojayenge (x3) Khanaaye kaaba ki chath par ek alam lehrayenga Jab Maula aayenge (x4)
Dekhene ek roz manzar istarha ka aayenga Manzaro par ek manzar mustakil hojayenga Ha yahi manzar qayamat, ki khabar banjayenga (x2) Sari dunya me ujalaa, noor ka ho jayega (x3) Khanaaye Kaaba ki chath par ik alam lehrayega Jab Maula aayenge (x4)
Aey azadaro sunoge jald maula ki sadaa Qayaame ale-Muhammad Askari ka mehlaqa Aa raha hay aaraha hay marhaba sad-e marhaba (x2) Majlis-e Shabbir me ab shor girya dekhena (x3) Pursadaro farshe gham par apna mawla dekhna Jab Maula aayenge (x4)
Surkh andhiyan uthengi phir samajh me aayenga Jiski dunya muntazir thi phir wo manzaar aayenga Mosame insaaf laykar mera mawla aayega (x2) Kufr hujron me chupega darbadar ho jayegaa (x3) Mukhtasir lashkar imaame Asr ka cha jayega Jab Maula aayenge (x4)
Aayega jab Haideri talwar ka wo virsa daar Dekhna Chalti hay kaise teghe shaire kirdigaar Phir zamino aasmaa tak ek hi hogi pukaar (x2) Shahe marda shere yazdaan quwatte parwardigaar (x3) La fataa ilaa Ali lah saif illa zulfiqar Jab Maula aayenge (x4)
Dekhena istarh Maula majlisain karwayenge Majliso me Karbala wale bulaye jayenge Naraye Haidar lagega Panjatan jub ayaange (x2) Dekhene un majliso me har shaheed aa jayenga (x3) Phir to wo mataam karenge asmaan hiljayenga Jab Maula aayenge (x4)
Chand Narjis ka falaak se jab zamin par aayega Aayenge saare farishte Auliya or Ambhiya Aabe kawsar ki sabilain tab lagengi ja baja (x2) Unke aate hi sitaraa khud zamin par aayenge (x3) Dekhena shehre khamosha me diye jaljayenge Jab Maula aayenge (x4)
Akbaro Abbas Qasim ke liye girya kuna Royange matam karenge jub imam-e insojaan Fatema Zehra ki aayegi ye awaaz-e fughaan (x2) Aey gharibo be watan aey karbala wale Hussain (x3) Teray Nana kar rahay hain teri mazloomi pe bain Jab Maula aayenge (x4)
|