Karte hain matam haram Abbas(as) ka Ho gaya marna sitam Abbas(as) ka
Aata hay zakhmi alam Abbas(as) ka Ho gaya marna sitam Abbas(as) ka
1. Haaye labe neher hua kya ghazab Teer laga mashk-e-Sakina(as) pe jab Aagaya honton pe dam Abbas(as) ka
2. Kehtay hain ro ro ke yeh ahle haram Jaaho hasham sabr-o-raza-o-karam Kis tarah bhulenge gham Abbas(as) ka
3. Leke shehenshah-e-wafa se hayat Choomne qadmo ko barrhi khud furaath Dekh ke jaah-o-hasham Abbas(as) ka
4. Shah ke ghamkhwaar pe har ek pal Sheh k azadaar pe har ek pal Rehta hay ab bhi karam Abbas(as) ka
5. Phir mere maula se na sambhla alam Paani baha hogaya thanda alam Mashk me shayad tha dam Abbas(as) ka
6. Ab bhi hay besheer ke maqtal ki yaad Ab bhi hay baaqi shahe karbal ki yaad Karte hay ooncha alam Abbas(as) ka
7. Mashke sakina toh wahin ruk gayi Shahe madina ki kamar jhuk gayi Jab hua baazu qalam Abbas(as) ka
8. Ab kahan bujh paaegi dukhya ki pyaas Toot gayi baali Sakina(as) ki aas Hogaya baazu qalam Abbas(as) ka
9. Ashqe lahoo ro diya charke gohar Ro diye besaakhta shahe zaman Dekhke chhalni alam Abbas(as) ka
10.Naize pe uss qaari-e-quraan ke saath Daaem-e-ghamkhwaar bhi yazdaan k saath Karta hay nauha raqam Abbas(as) ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka Kartay hain matam haram Abbas ka
Ran se ye Shabbir ko ye aayi sada Jald khabar lijye Shah e huda Aap ke qadmo pe ho khadim fida Ho gaye Abbas ke shanay fida
Ghamzada Zainab se ye Sheh ne kaha Chorr sidharay hamain bhayya kahan Mashk chidi khoon me alam bhar gaya Ab na alamdar na lashkar raha
Gham may baraday ke hay tooti qamar Chal basay Akbar nahi aata nazar Kamptay hatho pe hay lash e pisar Gham se phata jata hay Sheh ka jigar
Sibt e Nabi tum pe ho lakhon salam Ho gaye ummat pe fida tashna kam Arz ye ham sab ki hay tum se Imam Roza dikha dijye shah e anaam |