Akbar ne di sada seenay may hay naiza
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Akbar Ne Di Sada, Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)
Zakhmi Hai Kaleja, Hai Wakt Madad Ka,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na

Akbar Ne Di Sada, Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

1) Sookhi Hui Zaban Hai, Ghalba Hai Pyas Ka,
Is Haal Mein Kahan Talab Karta Bhala Vigah
Majboor Hun Baba, Ab Wakt Yeh Aaya,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada, Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

2) Baba Yeh Zakhm Aap Se Dekha Na Jaienga,
Naiza Nikalte Hue Moh Apna Pherna,
Hai Dard Gazab Ka, Dam Hoton Pe Aaya,
Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

3) Haan Yeh Khabar Khayam Me Dena Na Baba Jaan,
Mar Jaiengi Phupi Meri, Mar Jaiengi Woh Maan,
Hai Wakt Qaza Ka, Aajao Khudara,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

4) Kya Sakth Imtehan Hai Maloom Hai Mujhe,
Tanah Pisar Ke Lash Ko Kaise Uthaienge,
De Aap Ko Khuda, Yeh Sabr Hausla,
Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

5) Mujh Se Siva Hai Aap Ki Lachargi Padar,
Tanha Gai Hai Aap Hi Har Ek Lash Par,
Hote Agar Chacha, To Mai Nahi Kehta,
Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

6) Pohuchi Agar Sada Meri, Sughra (S.a.)Ke Kaan Tak,
Hai Roiengi Is Tarha Bahan Gir Jaienga Falak,
Woh Jee Sakengi Kya, Sun Kar Meri Sada,
Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

7) Hota Hun Aap Se Juda Majboor Tishnakam,
Baba Kubool Kijiye Yeh Aakhri Salam,
Ya Shah E Do Sara ,
Ab Hai Safar Mera, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)

8) Farhan Mazhar Abedi Kaisi Hai Bekasi,
Budha Padar Uthaienga Maiyat Jawan Ki,
Pohuche Shahe Huda ,
Sun Kar Yeh Marsiya, Ghode Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na
Akbar Ne Di Sada Seene Main Hai Naiza,
Ghorre Se Gir Raha Hun Baba Sambhal Na (x2)