Al amaan al amaan, gustakhon ke hujoom may Zainab thi darmiyan
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Aale Nabi pe ye kaisa aaya hay imtehan
Al amaan al amaan
Gustakhon ke hajoom may Zainab thi darmiyan

Hairan hoon bazar se kaise guzar gaye (x2)
Tat-heer ki pali thi (x2) bazaar kar samaan
Al amman al amaan

Ye soch ke Sajjad ka dil khoon ro parra (x2)
Tafseer be rida thi (x2) naizay pe tha Quran

Kaise uthay lash ko mazloom chal diye (x2)
Shabbir ki zaeefi (x2) Akbar sa no jawan

Kyun bar bar letay ho tum naam balwa aam may (x2)
Mar jaye gi bazar may (x2) haey aaj meri maa

Fakr e Khaleel teri himmat ko hay salam (x2)
Phal kahinchna pisar ka (x2) hota nahi asaan

Yasrab se jo Ameer chala tha Ashoor ko (x2)
Karbal may woh luta hay (x2) Risalat ka karwan