Alam Abbas(a.s.) ka
Efforts: Nishat Naqvi

Aey Karbala bata, aey alQama bata
Aey AlQama bata, aey alQama bata

1) Tanha Hussain dekh, rahe the ye majra
Aya tha kis tarha say, tarai me ba wafa
aur kis tarha se khun may tar ho ke reh gaya
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

2) Ye wo alam hai jis say, shahidon ki shaan hai
Qurbanion ka naam, wafaa ka nishan hai
Bachon ki abroo hai, Sakina ki jaan hai
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

3) Lehra raha hai iska pharera hawaon mai
iski bulandyo ka hai charcha fizaon mai
sab karbala hai iskai phareray ki chaon mai
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

4) phaila huwa iska jo saya Hussain tak
rasta isi ne sub ko dikhaya Hussain tak
Hur bhi isi ko dekh kar aya Hussain tak
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

5) piyaso ka is alam may safina bhi dekhiye
panjay mai roshni ka khazina bhi dekhiya
lipti hui hai mashk-e- Sakina bhi dekhiye
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

6) dekh is alam kay saye mai yakja hai kon kon
Qasim hai wahb-e-kalbiyo Aabis Umairo Aoun
Akbar say khoob ru ke barabar kharain hain John
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

7) Ghazi kai khun sai jo mili hai baqa isay
hazir ye iftikhar rahay ga sada isay
har dor main uthayengay ahle-e-aza isay
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

8) bete bichar gaye hain ye dil ko malal hai
lakin bahan ko bhai kay haq ka sawal hai
Zainab ko har dua mai isi ka khayal hai
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)

9) ay tashnalab wafao kay darya salam lai
har apne soghwar ka piyasa salam lai
ay karbala kai dast-e- burida salam lai
Alam Abbas ka, alam Abbas ka (x2)