Hayraan Hay Chand Muharram Ka Shabeer Say Kyoun Sharmata Hai
Zahra Kay Chand Ko Dekhta Hai Phir Baadal Main Chup Jata Hai
Ghar Zahra Ka Lutnay Ki Khabar Karbal May Tunay Sunai Hay Haye Dekh Kay Tujh Ko Muharram May Ab Tak Bhi Rooti Khudai Hay Teri Chandani May Bhi Andhera Hai (x2) Jo Akhon May Chaa Jaata Hay
Beemar Hay Din Bhar Rooti Hay Na Wada Akbar Poora Kia Is Chand Ko Dekh Kay Sughra Nay Phir Chand Ko Dekhna Chor Diya Har Saal Muharram Aata Hay (x2) Sughara Ko Bohot Tarpata Hay
Is Chaand Nay Shaam-e-Ghareeban Main Jaltay Howa Khaimon Ko Dekha Mumtaz Hay Shabbar Roya Tha Zahra Ka Ureyan Sir Dekha Is Wastay Raat Nikalta Hai (x2) Din Bhar Kay Liye Chup Jaata Hay |