Al ajal ya Imam ya imam e zaman(a.s.)
Efforts: Nishat Naqvi

Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
ai meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

1) Zulmo sitam jahaan mei, aala shiyaar hogaye,
kitne jawaan o peer yun, haq par nisaar hogaye
Ro ro ke bandagi yehi, kehti hay sarko peet kar,
joro jafaa jihaad mei, kaise shumaar hogaye
Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
aey meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

2) Azme zahuur nuur ka, izhaar kijiye zaraa,
maula sipaahe karbala, tayyaar kijiye zaraa
naagaah hay jiske dour par, ehle yazid-e-karbala,
is khaibare yazid ko, mismaar kijiye zaraa
Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
aey meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

3) Noke sina pe bandagi, mushkil huwi ye zindagi,
fikre yazid chaarsu, chaayi hay banke teergi
Mehrab pur sukuun hay, khamosh har zubaan hay,
sarko jukaana zulm par, jaise ho rasme bandagi
Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
aey meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

4) Aale saud ne kiya, barbaad aapka watan,
bughze rasul mei huwa, wiraan aapka chaman
Haae sitam ye hogaya, khaak mazaare fatema,
taajile nuur kijiye, hay ye zade zubaan sukhan
Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
aey meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

5) Zainab hay tanha ghamzada, maqtal hay khun se sajaa,
khaime jale sitam huwa, larzi zamin-e-karbala
Fouje sitam hay chaarsu, shaame gharibaan chaagayi,
ummeede kaarwaan bani, binte Ali-e-Murtaza
Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
aey meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

6) Abbas-e-naamwar nahi, Akbar sa naujawaan nahi,
Qaasim sa gulbadan nahi, beshiro bezubaan nahi
Ranjo alam sitam rasan, laashe hay jald bekafan,
haae who shaam-e-karbala, koi bi zofishaa nahi
Giryaa kunaa hay ghamzada, nauha kunaa sitam zada,
misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)
Maula labon pe hay dua, dekhe zahuur nuur ka,
aey meere asre karbala, keeje zahuur karbala
Al Ajal ya imam, ya imame zamaan (x2)

7) Peshe lain Hussain ne, haathon ko do ayaan kiya,
paani ke waaste ayaan, Sarwar ne bezubaan kiya
"Rizwi" rahe Hussein mei, shirin khayaale mout hay,
lab par zubaan ko pher kar, Asghar ne yun bayaan kiya