Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 1. Usse Zainab ka jaab bazar jana yaad ata hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 2. Koi ghamkhar ghaibat may mayesar hi nahi usko (x2) So tanhayi may har nauha (x2) woh khud ko hi sunataa hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 3. Unhi galiyon may chal chal kar jaha chalti rahe Zainab (x2) Nishan Zainab keh qadmon (x2) keh woh hathoo se mita ta hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 4. Baqiyye may sada e wa hussaina ghunj uthti hay (x2) Woh jaab bhi qabr e Zahra (x2) aa keh seene se lagata hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 5. Nahi thamte hay uski aankh se aansoo kisi soorat (x2) Usse behsheer ka (x2) jab muskarana yaad ata hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 6. Pidar ki god ki khatir sakina jab bhi roti hay (x2) Woh lori baap ke (x2) lehjey may beti ko sunata hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 7. Khayaal ata hay jab bhi parda e Zainab ka Mehdi ko (x2) Kabhi talwar par (x2) woh haath rakhta hay hatata hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2) 8. Woh hujjat hay ussi ka kaam hay iss dard ko sehna (x2) Kisi khaqi keh dil may (x2) juan yeh gham kaab samata hay Koi ghaibat may baitha khoon keh aansoo bahata hay (x2)
|