Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina x3
Labreez hay gham sey har bibi ka seena Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Ik saal guzara hay zindan-e-sitam mein Din baqi guzarey gi Zainab isi gham mein
Maqtal may hay Asghar zindan may Sakina Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Aye ahle Madina tu khamosh hi rehna Zainab sey khudara to ik lafz na kehna Jo sansein bachi hai kho day gi hazeena Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Ye soch key roti hay bemar hay Sughra Har farz key baare mein ab poochy gi dukhya Eisa na ho sun key marjaey hazeena Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Har baat batadoungi jab poochengi Sughra Baloun ki safedi ka batlaoun sabab kya Tha is sey to behter zindan mei jeena Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Jab pursa mujhe diengey sab loog vatan key Kis tarha chupaoungi ye neel rasan key Ahval safer ka kehdein ye kahien na Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Har zakham suna dey ga ahval safar ka Phat jaye na dil us ka jab dekhegi Sughra Peeshani-e-sajaad ur surkh paseena Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Hujroun mein jo jaoungi mein awn-o-muhammad key Us dil ko rulayeingey bachoun key khiloney Dil shiddat-e-gham sey phat jaye kahien na Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Sab kuch to luta aayi pardees mein Zainab Mazlooma musafir ye kia jee key karey ab Bin bhai key ab to dushvar hay jeena Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Zainab key khayaloun mien aawaz ye aayi Mahmil sey uter kar jab fizza ney sada di Dil tham lo bibi lo aaya Madina Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
Kehta hay jiger thaamey Farhan tarap kar Roodad karo Mazhar bas khatam yahien par Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina Ghabrayi hay Zainab aaya hay Madina (x2)
|