Meray pardesi baba kab aao gay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Faryad kare Sughra kab aao gay (x2)
Mere pardesi baba kab aao gay

Ghar suna para hai, aey baba
Honto pe buka hai, aey baba
Dil Dub raha hai, aey baba

Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

1. Jis din se gaye ho aey baba hai lab pe mere faryadein
Din roh ke guzarta hai mera Matam me guzaru Raate in
Hujre huwe khali, aey baba
Nazo ki pali, aey baba
Sughra hai sawali, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

2. Aey baba namaze shab me bhi, me zeyb-e-musalla ho ker
Tasbi hi bana ker ashkon ki Aur Allaho Akbar keh ker
Mei kehti ho rokar, aey baba
Mer jayengi muztar, aey baba
Abad karo ghar, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

3. Awaz-e-azaan jab kaanon mei, ati hai allahu akber
Dil mera tarap ker kehta hai le aagaye tera akber
Ho khwab ye pura , aey baba
Aye mera bhaya, aey baba
Batla do khudara, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

4. Jab maut muje ajayengi kunbe ki yaad me rokar
Talqeen paranga kon meri Na aap na bhayya akber
Me bekas-o-muztar, aey baba
Ab maut hai ser per, aey baba
Ik boj hai dil par, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

5. Ghar qabr ke jaisa lag ta hai Dasti hai muje tanhayi
Har saath me dejati hai kuch zakhm naye tanhayi
Har lamha jafaa hai, aey baba
Jeena bhi sazaa hai, aey baba
Ab kehna para hai, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

6. Ik dard musalsal rehta hai is qalb-e-hazeene mei baba
Ay Kash ke marne se pehle Ghar laut ke ayein baba
De kon dilase, aey baba
Kya puchu khuda se, aey baba
Tum karbobala se, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

7. Jab Aun o Muhammed ke hujre dekhu to tarap jati hun
Asger ka humakna baba sochu to tarap jati hun
Tarsi hain nigaahein, aey baba
Sab yaad jo ayein, aey baba
Deti hun sadayen , aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)

8. Farhan masayib likhte huwe Mazhar ne ashk bahaye
Kiya khune jigar se sugra ne baba ko likha ta haye
Ker ker ke nawha, aey baba
jab thak gaye sugra, aey baba
tehreer mei pucha, aey baba
Mere pardesi baba kab aao gay (x2)