Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Hai shaam ka Bazaar or Abid-e-Bimar
Tarikh me gar bazaar na hota
Shabbir ka beta kabhi bimar na hota

Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

1. Be parda haraam saath hay aur shaam chalaa hai
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

2. Zainab ko koyi dekh na paye isi khatir (x2)
Neze pe sar-e-sibte nabi bol raha hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

3. Zainab na tamasha bane dekhe muje sab log (x2)
Ye soch ke sar ghazi ka neze se gira hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

Abid ko dawa aur na ghiza dete hain
Sote hay to zanjir hila dete hain

4. Ay shimr layin kispe tu barsa ta hay kore (x2)
Abid to bari der se behosh para hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

5. Aey shimr Sakina ko na tu maar tamache (x2)
Ahsas yatimi ki bari sakht saza hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

6. Na tok hay wazni ka na naqahat ka sabab hay (x2)
Sar sayed-e-Sajjad ka ghirat se juka hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

7. Fizza ki himayat me kinchi teg hazaro (x2)
Zainab ki himayat me bas ik qaidi khara hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

8. Phir shimr ne napaak zaban se ye bataya (x2)
Ye laila, ye kulsum ye zainab be rida hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)

9. Farhan ye Zainab ke masayib ka asar hay (x2)
chaalis baras mola mera rota raha hay (x2)
Sajjad ko be maut ye gham maar gaya hay (x2)