goonj rahi hai ye sada ya hussain tujhko layeeno ne sataya hussain ya hussain, ya hussain
teen shabo roz ka pyasa hussain dashte bala may tujhe maara hussain ya hussain, ya hussain
bayyate fasiq ke talabgaar thay zulmo sitam ke liye tayyar thay kitne tere sar ke khareedar thay tune magar sar na jhukaya hussain ya hussain, ya hussain
bhej ke khat tujko bulaaya gaya tera watan tujse chudaya gaya khabr se nana ki hataya gaya paykare tasleemo raza ya hussain ya hussain, ya hussain
karbobala ghayr ke laaye tujhe tere azeez akhroba saath thay nehr se qaime bhi hataye gaye uzr zara bhi na hua ya hussain ya hussain, ya hussain
dasht may thodi si jagah mil gaye aamade aada se zameen hil gaye aur nazar jab sue saahil gaye us pa layeeno ka tha pehra hussain ya hussain, ya hussain
kya shabe aashoor ka hangaam tha saara jahan larza barandaam tha tujhko ibadat se faqad kaam tha karta raha zikr khuda ka hussain ya hussain, ya hussain
suboh dahum ka ho bhala kya bayaan dene laga jab tera akbar azaan jaise thi awaaze nabi begumaan karbobala thi ke madina hussain ya hussain, ya hussain
fauje hussaini may bada josh tha tune bhi pyaso ko sahara kiya saaniye hyder lo alam dediya sab ne unhe faqr se dekha hussain ya hussain, ya hussain
suye imam ek namazi barha dil se basad shaan e niyazi barha fauje udoo se hure ghazi barha aake qadam-bosh hua ya hussain ya hussain, ya hussain
haaye muhibbe shahe aali maqaaam jinka habib ibne mazaahir hai naam zainabe dilgeer ne bheja salaam tumne gale unko lagaya hussain ya hussain, ya hussain
phir to ajab hashr bapa ho gaya ek ke baad fida hogaya dekhte hi dekhte kya hogaya ab koi nasir na raha ya hussain ya hussain, ya hussain
saaniye zehra ka bura haal tha jab ke tadaruk na koi ban pada auno mohammad ko fida kar diya us pa bhi tu bach na saka ya hussain ya hussain, ya hussain
madare qasim ka jigar dekhiye jazbaye emaan ka asr dekhiye bhej diya ran may pisar dekhiye jo hua pamaale jafa ya hussain ya hussain, ya hussain
hazrate abbas bhi marne chale nehr par jarraar ke baazu kate thaam ke aap apni kamar reh gaye hogayi chup roke sakina hussain ya hussain ya hussain
hogaye ruqsat ko shabihe rasool ab shahe bekas thay bahot dil maloool aayi kahin se ye sadaye batool mai teri himmat pe fida ya hussain ya hussain ya hussain
asghar-e-baysheer pe jaane fida khainchay hue teer barha hurmala khasta kalaame shehe wala hua suye falak aap ne dekha hussain ya hussain ya hussain
dhal gaya din aur qareeb aayi shaam phir to akele thay imame anaam dediya sar khatm kiya apna kaam deene nabi khoob bachaya hussain ya hussain ya hussain |