hai shame ghariban ki ye awaaz ay saaniye zehra, ay saaniye zehra
soona hua ran cha gayi maqtal may udaasi sairaab hui khoon se jo khaak thi pyasi gulshan hua pamaal har ek phool hai baasi qaime ki nigehbaan hai mohammad ki nawasi din chup gaya raat aagayi sunsaan hai sehra ay saaniye zehra, ay saaniye zehra
allah ke mehboob to jannat ko sidhaare jangal ki hawa sunti hai ab bain tumhare madhosh hue neendh may akaash ke taare maare gaye abbas bhi darya ke kanare ab unki jagah girde alam do tumhi pehra ay saaniye zehra, ay saaniye zehra
mazloom behan bhai ke laashe pe khadi hai lab bandh rawan aankhon se ashkon ki jhadi hai be-goro kafan laash biyaban may padi hai ek hashr ka maidan hai qayamat ki ghadi hai jab bheeg gayi yaad to saraaab hua gehra ay saaniye zehra, ay saaniye zehra
bhai se kaho aake sakina ko sulado qasim ko pukaro ali akbar ko sada do abbas zara aake rida sar par uda-do beton se kaho aun ke mehmil may bithado kal suboh ko jaana hai tumhe chod ke sehra ay saaniye zehra, ay saaniye zehra
jangal se sakina ko to le aayi hoon jaakar asghar ko bhi tum godh may le aao uthakar behlao kahani koi baqar ko sunakar kyon laayi na tum khaak se akbar ko jagakar jangal bhi hai purhol andhera bhi hai gehra ay saaniye zehra, ay saaniye zehra
bibi se basad arz yahi kehta hai akhtar ay noore dile fathima lakhte dile hyder ay kooshtae gham sayyade mazloom ki khaahar mai misle qadab hoon mujhe kar dijiye gowhar tareekhe abad may mera parcham ho sunehra ay saaniye zehra, ay saaniye zehra |