Bali sakina yehi karti thi ro ro fughaan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
Hone lagi dasht may shaame ghariban ayan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
Jaane kidhar aaj tak nasir-o-yawar gaye Kaisi qayamat hui qasim-o-akbar gaye Justujuye aab may saaniye hyder gaye Nanhe mujahid ke saath sipte payambar gaye Dhoond rahi hoo magar milta nahi kuch nishan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
Lashkare kuffar may dhoom hai kyon is khadar Soch rahi hoo yahi aayi hai kaisi khabar Chaak gareban kiye rota hai sab ghar ka ghar Hosh kisi ko nahi kya karoon jaaun kidhar Koi bataye mujhe kyon hai ye aagho fughaan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
Khaimo may be-izn hi aagaye sab ehle shar Zulm ki had tod-di abide bemaar par Lootli sar se rida lootke sab maalo-zar Shimre layeen legaya cheen ke mere gohar Jaake dikhaungi mai kaano se hai khoon rawan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
Pyasi hoon ye lafz hi lab pe na laaungi mai Unki judaai ka gham kaise uthaungi mai Maut se pehle unhe dekh bhi paungi mai Jab bhi milenge mujhe unko bataungi mai Maare tamache mujhe shimr ne di jhidkiyan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
Aur aneese hazeen haal kare kya raqam Zulm ki jab sayliyan kha chuke ehle haram Aale mohammad pe phir toota naya ek sitam Dekho ke bacho may hai bali sakina bhito Karti thi jo dam ba dam roke yehi ek fughaan Hain meray ammu kahan hain meray baba kahan
|