Hussain kia hay
Efforts: wajhi jafri

Ab is se agay khuda he janey,
Ali ka beta hussain kya hai, hussain kya hai,

Hussain thereek-e-zindagi hai,
Hussain toheed ki baqaa hai,
Shafaq ki surkhi ye khe rahi hai,
Hussain Khaliq ka mojza hai,
Ubhartey sooraj ka har ujaalaa,
Usi ki dehleez choomta hai,
Ye merey dil ki sada nahi hai,
Zameer-e-insan ka faisela hai,

Ab is se agay khuda he janey,
Ali ka beta hussain kya hai, hussain kya hai,

Hussain perwadegar-e-rehmat,
Hussain bunyad-e-ilm-o-fun hai,
Kaheen risalat ka fakhar hai wo,
Kaheen wo meera se panjetan hai,
Kaheen imamat ka tajwaar hai,
Kaheen bahataar ki anjuman hai,
Kaheen wo Hashim ka dabdaba hai,
Kaheen wo Abbas ki wafa hai,

Ab is se agay khuda he janey,
Ali ka beta hussain kya hai, hussain kya hai,

Usi ke sadqey mein ankh badqi,
Shekasta kashti lagi kinarey,
Wo aesa maliek hai khushk-o-tar ka,
Ke jis ka sadqa falak utarey,
Bus ek Hur ne samajh liye thee,
Kitaab-e-natiek ke kuch iesharey,
Ragoon mein jis ki shareef khoon hai,
Wo zikar-e-Shabeer kar raha hai,

Ab is se agay khuda he janey,
Ali ka beta hussain kya hai, hussain kya hai,

Mohib ye dargahe panjetan hai,
Bus asoonon ki furaat mangoo,
Jo ahl-e-Ahmad ke gham mein guzrey,
Humesha aesi hayat mangoo,
Jo is waseeley se mangna hai,
Kareen jo matam wo haath mango,
Namaz ahl-e-wafa hai. matam,
Muhib ka wajdaan bolta hai,

Ab is se agay khuda he janey,
Ali ka beta hussain kya hai, hussain kya hai