Barsa falak se khoon larazne lagi zameen aandhi siyaah dashte bayabaan me chali yeh waqt bhi qayamate kubra se kam nahi jalti zameen pe aakhri sajde me hai jabeen baali pe maa hussain ki pusht pe laeen kehti thi maa thehar zara shimr theher jaa do bund mere bacche ko pani toh pilaa de
sunkar duhai fatahe badro honain se yeh rashk gunjta hai mere shoro shain se akbar ko katl kar ke bhi baithe na chain se kya dushmani hai tumko mere dilke chain se kya bugz tumko ho gaya mere hussain se
aaya jo katl gaah me yeh zulm ka aseer pursaane haal tha na koi aur na dastgeer patthar kisine maare kisine sina uthi naiza kisine maara chalaaye kisine teer yeh zulm dekha rone laga khuld ka ameer
gash khake jo ghode pe jhuka mera dilafgaar khun rone laga aur sare mazlum pe talwaar sar thaamke haatho se jo seena hua ek baar barchi kisi laeen ke seene se hui waar tar ho gaya lahu se badan dil hua figaar
teeron ki nazr chand sa seena jo ho gaya in zalimon ne seene ko teero se bhar dia zeen se zami pe aane laga jab pisar mera aaya nai zameen pe teero pe ruk gaya is zulm pe bhi reham na aaya tujhe zara
ai sang dil khuda ka payambar ka khauf kar kassab bhi zabiho ko zibha se thehar kar itna toh pani dete hai ho jaae halq tar zakhmon se chur chur hai pyaasa mera pisar khanjar chalega kis tarah pyaase ke halq par
zainab hai ek ret ke tile pe nauha gar manzar yeh dekhti hai sambhale hue jigar ankho me ashk lab pe buka aur barehna sar mar jaaegi woh khwaahare mazlum dekhkar tan se juda na kijiyo us waqt sheh ka sar
farze zameen pe khaak udate hue haider aaye khadija aur payambar bhi nauhagar saidaaniyon me bain dare khaima pe dukhtar nazdeek tha woh waqt ke kat jaaye sheh ka sar zahra ne gala rakh diya bete ke gale par
mazhar kaha se mai woh takate bayaan mai likh saku shahadate mazlum ab yaha hamraah mere rote hai yeh saaton aasmaan farhan nahi nahi yeh kalam bhi hai nauhagaa bete ko qatl hote hue dekhti thi maa |