Jab rida sar se chini mai sada deti rahi Tu na aaya Ghazi
aale imran kahan aur zindaa kahan ye behan qaid hui tu na aaya Ghazi jab rida sar...
humko pani na milay, teri khusboo to rahe tere baazu na kate, chahe mashkeeza chiday ye magar ho na saka, tere baazu hai juda mujhpe hai tashalabi, tu na aaya Ghazi jab rida sar...
dhoop may tu tha shajar, tujhse aabaad tha ghar hai barehna mera sar, kya nahi tujhko khabar ay alamdare wafa, is behan ko ba-khuda tujhse dhaaras thi badi, tu na aaya Ghazi jab rida sar...
aagayi shame-alam, lutgaye ahle haram rayt par jalti huvi, hogaya thanda alam pursa dene ke liye, mujhse milne ke liye aagaye baba ali, tu na aaya Ghazi
kya kahoo sher mere, berida humko liye ye musalman saare, shehr dar shehr gaye khilqate koofa kabhi, khilqate shaam kabhi aur haa hum pe hasi, tu na aaya Ghazi jab rida sar...
kitni bebas thi behan, ay shehenshahe wafa naam le le ke mera, jab ye zaalim ne kaha naaz tha jispe tujhe, ab bulao na usay aur mai roti rahi, tu na aaya Ghazi jab rida sar...
qaid-khane may qaza, jab sakina ko mili deke kurte ka kafan, bachi dafnayi gayi us ghadi naam tera, surate nade-ali dukh may dohrati rahi, tu na aaya Ghazi jab rida sar...
roya rehaan qalam, karke ye baat raqam khoon may doob gaya, mere ghazi ka alam zakhmi zainab ka jigar, khoon-fishan shaah ka sar aaye qaimon may shaqi, tu na aaya Ghazi jab rida sar |