Al madad, Maula Raza Nana Nabhi dada Ali dadi teri khairun nisaa 1) Tu hai masiha-e- jahaan, shaahe khurasaan hai laqab Yu har farishta roz par, aataa hai tere ba adab Haan rad nahi hoti tere, roze pe koi bhi dua 2) Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu, maange agar tujse koi Daanaai bhi deta hai tu, tu bhi to baabe ilm hai Tu bhi to hai mushkil kushaa 3) Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu Hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu Teri ataaye dekh kar, dushman ko bhi kehnaa paraa 4) Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar Lehta hai har zaair tera, roze ki jaali chum kar Mash-had muqaddas ho gaya, tune jo aakar di azaan 5) Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan Jinno mallak lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan Maula tera makruuz hai, har ik gadaao baadshaa 6) Roze se tere duur hai, ham to bohot majbuur hay Aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se chur hay Tujse kahenge haale dil, izne ziyarat kar ataa 7) Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera Ishke ghame shabbir mei, maare gaye jo bekhata Hai munison yawar tu bhi, ibne shahide Karbala 8) Raihaan mujko hai yaqin, maula Raza ki zaat se Ye nokri shabbir ki, jaaegi ab na haath se, nauhe likhunga mei sada Dete rahenge wo silaa
|