ye mere laadli haye Sakina
chale jab aakhri ruqsat ko sarwar kaha zainab se ay mazloom khwahar zara le aao tum baqar ko jaakar jab aaya ibne abid hukm paakar kaha baqar se sheh ne gham na karna ke tere saath hai meri Sakina ye mere laadli....
ye khud pyasi rahegi dukh sahegi magar pyasa tumhay rehne na degi ye khud rokar tujhe rone na degi ye rahe shaam may saaya karegi tujhe ek pal na chodegi akela ye mere laadli....
kaha zainab se phir ay meri khwahar chinegi jab tumhare sar se chadar tamache kha ke bhi ye meri dukhtar kabhi hone na degi tumko muztar ye balon se karegi tumpe saaya ye mere laadli....
jagakar ghash se ye abid ko bolay hussain ibne ali ay laal mere jab hongi bediyan pairon may tere sitamgar jab tujhe sonay na denge karegi tauq ko ashkon se thanda ye mere laadli....
agarche kaan honge uske zakhmi bandhi hongi galay may uske rassi kayi din aur kayi shab ki ye jaagi kisi pe dukh na ye zaahir karegi har ek pal dhyan rakhegi tumhara ye mere laadli....
isay seene pe tum apne sulana sare naiza mera sar na dikhana hamari laash pe isko na laana na dil iska kabhi zainab dukhana na dekhe zakhmi akbar ka kaleja ye mere laadli....
ali asghar jo tha chota sa bhaiya hai sar uska sina par ye na kehna mila hai khaak ka isko bichono tadap kar jaan dedegi Sakina bhala dekhegi kyun asghar ka laasha ye mere laadli....
ye kehkar rodiye khud shahe wala likho rehan us manzar pe noha raza jisko padhe qarya ba qarya har ek ahle aza ho mehve girya kahe maula dua degi hamesha ye mere laadli.... |