mehendi laga ke qasim maqtal ko ja rahe hai armaan maa phupi ke aansoo baha rahe hai
dholi gayi thi mehendi behno ke aansuon se pani na tha mayassar haye haye kayi dino se sookhe hue labon ke chehre bata rahe hai mehendi laga ke qasim....
abbas ne sajaya akbar se sehra baandha shadi ke ghar may ya rab ye kaisa waqt aaya baraat walay saare sar ko kata rahe hai mehendi laga ke qasim....
poshak hai uroosi naushah ke badan par lekin ye surkh dhabbe kal thay kisi kafan par manzar wo karbala may dohraye ja rahe hai mehendi laga ke qasim....
roohe hassan ne aakar kaisa ye haal dekha tukdo may haye kaise khud apna laal dekha apne jigar ke tukde phir yaad aa rahe hai mehendi laga ke qasim....
newa jo hogaye hai ibne hassan ki dulhan ashkon se shahe wala apna bhigo ke daman dulhan ke sar pe misle chadar udha rahe hai mehendi laga ke qasim....
sajjad ghash se uthkar ek ek se poochte thay shaadi ke ghar may sab ke uthre hue hai chehre kya cheez ran se baba daaman may la rahe hai mehendi laga ke qasim....
khushboo hena ki ab tak maujood hai faza may dulhan to be-khabar hai masroof hai dua hai damaad ka janaza shabbir la rahe hai mehendi laga ke qasim....
rehan aur raza ye gham shahe nainawa ka ek aisa saneha hai maidan e karbala ka har saal ahle matam jisko mana rahe hai mehendi laga ke qasim.... |