Abbas ya Abbas ay shataqar Abbas
raah takti hoo mai haye din dhal gaya door itni to nahi ghar se alqama aur rehwar bhi tez raftar ka maine jate huwe unko di thi dua be-asr hai dua jaane kya hogaya
khaali kooze kahan tak sambhale rahoon fazlo maqqar ko kaise tasalli mai doon pyas lene nahi deti ek pal sukoon dhoond lao unhe haye kis se kahoon dam ukhadne laga ghut raha hai gala
kab gaye thay irade se ladne ke wo rakh gaye thay wo ghar may hi talwar ko keh rahe thay wo mujse sakina suno lao mashkeeza ay laadli hum ko do mai hoo dar par khadi dayr kyun ho gayi
is andhere may kya kar rahe hai wahan aap hi kuch batadijiye amma jaan unko maloom hai mai hoo tishnadahan ab to pathar hui jaa rahi hai zuban jeena dushwar hai qaime jalne lagay
bhaiya abid tumhi jake lao khabar mashk itni to bhari nahi thi magar ke utha na sake murtaza ka pisar ab to khanjar se chalne lagay khalb par ay khuda tu bata lab pa ay mustufa
dafatan khoon may dooba alam aagaya zakhmi mashkeeza bhi tha alam se bandha pyasi bachi ke hathon se kooza gira phir to zere alam ek hi thi sada alqama alqama tu bata tu bata
ghaib se aayi awaaze khairunnisa ay sakina chacha tera maara gaya bazuon pe chali uske tayghe jafa moo ke bal mera zameen par gira khaak par baith ja ab na de ye sada
ay rehan-o-raza tha ye sadma bada shor ahle haram may qayamat ka tha koi kehti thi bhaiya to koi chacha chadaron ka na ab koi zaamin raha chup sakina hui kis se ye poochti |