zuljana zuljana mere baba ko tu chor aaya kahan roke karti thi nanhi sakina bayan zuljana zuljana....
kyon hai balay kati kyon hai manka dhala tere jism pe hai khoon kis ka pada ye bata-de mujhe hai kahan baba jaan zuljana zuljana....
lipti qadmo se mai de rahi thi sada mere baba ko maqtal may lekar na ja par na tune suni meri aaho buka zuljana zuljana....
ab na qasim raha aur na asghar mera chor kar chal diya bhai akbar mera koi kehde unhay hai ye waqte azan zuljana zuljana....
chin gayi hai rida ban gayi hai rasan ham huye hai giraftare ranjo mehan tapte sehra pe hai khoon bhara ek kaman zuljana zuljana....
laut aaya alam par na aaya chacha sogaya kyon tarayi pe ammu mera kya unhay hai khabar chin gayi baliyan zuljana zuljana....
raahe purqaar se kis tarha hum chalay bhai sajjad ko taaziyane lagay tauq-o-zanjeer hai paon may bediyan zuljana zuljana....
chalti hai har taraf se siya aandhiyan girti hai humpe kyon zulm ki bijliyan jalte qaimo se uth-ta hai dekho dhuan zuljana zuljana....
ho na paya rasan ye sakina ka gham hogayi haye ahmed ki aankhein bhi nam bas sunao hassan gham bhari daastan zuljana zuljana.... |