kya sitam tha karbala may dard o gham tha karbala may haye Zehra pe paale pe shimr e layeen Ka qadam tha karbala may kya sitam tha karbala....
shah jalti reth par thay na bhatije na pisar thay kaun aata madad ko shaheedo ka sar Sab qalam tha karbala may kya sitam tha karbala....
chau taraf ko dekhte thay pani pani maangte thay dhoop shiddat ki thi pyas se sheh ka honton Pe dam tha karbala may kya sitam tha karbala....
bacha hathon par uthakar maangte thay pani sarwar haye wo cheh mahine ke bache ka honton Pe dam tha karbala may kya sitam tha karbala....
hurmula jab teer maara khoon ugalkar wo sidhaara apne baba ke gardan pa gardan kiye Apni kham tha karbala may kya sitam tha karbala....
dhal gayi wo pyari gardan gir paday wo dono jaushan khoon se chota kurta wo nanha Sa nam tha karbala may kya sitam tha karbala....
nikli zainab khaak udaati pee ti thi apni chati dekhti kya hai naize pa sar shahe deen Ka alam tha karbala may kya sitam tha karbala....
sab charinde ro rahe thay sab parinde ro rahe thay dekh haal shahe karbala ki har ek Chashm nam tha karbala may kya sitam tha karbala....
ay bahadur zulm shah par jo jo guzre unke upar aaj tak aisa dekha suna hi nahi Jo sitam tha karbala may kya sitam tha karbala.... |