Alamdar haey Alamdar (x3) Roti hay Zainab, (haey Alamdar) Pyasi hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
Alamdar haey Alamdar (x3)
1. Shaam Chali teri behan be rida (Alamdar) Qafela salar haey Zainul Iba (Alamdar) Chor ke maqtal me tujhe be kafan Jati hu bazar mere ba wafa Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
2. Qaid huwi dekh nabi zadiya (Alamdar) Bazu-o-mai bandhi gayi resuma (Alamdar) Dekh le Zainab ki zara Bakasi Koi nahi koi nahi paas baa Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
3. Dard haey Tanhaeyyi haey faryad bhi (Alamdar) Hashr bapa haey dile nashad bhi (Alamdar) Leke chale haey ye sitaam gar mujhe Alvida-ye- bhayi teri yaad may Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
4. Yaad teri ayengi har gaam par (Alamdar) Qalb ko tarpayengi har gaam par (Alamdar) Tuj se juda hoke ye teri behan Kehte huwe jayengi har gaam par Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
5. Dard se lachar behan kya kare (Alamdar) Mere Alamdar Behan kya kare (Alamdar) Koi Nahi aaj mera dashte mai Gham me giraftar behan kya kare Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
6. Dil pe har ek zakhmo ko sehte Huwe (Alamdar) Shaam talak jayengi rote huwe (Alamdar) Teri judaai me mere ba wafa Aaj sare dasht ye kehte huwe Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
7. Baad tere dasht mai chadar chini (Alamdar) Nawha khuna mujpe huwi bekasi (Alamdar) Tere bina kaise bhala jayengi Shaam ke darbar mai binte Ali Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
8. Loot pari aisi ke sab loot gaya (Alamdar) Gar tere jane ke sabab loot gaya (Alamdar) Wo jo bhara gar tha tere samne Aake zara dekh wo ab loot gaya Roti hay Zainab (haey Alamdar) Jati hay Zainab (haey Alamdar) Qaidi hay Zainab (haey Alamdar)
|