Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha Zindaan-e-Shaam mein ab ek hashr sa hai barpa
1. Godi hai jiski sooni ujra suhaag jiska Karbal mein so raha hai jis Maa ka jhoole wala Uss Maa ke dil ko kaese dega koee dilasa Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha
2. Abbas ki bhateeji paiham tamachey khaake Aaee thi Karbala se zulm-o-sitam uthaake Khamosh hogaee kuen rudaad-e-gham sunaake Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha
3. Baba ko yaad karke roney bhi wo na paaee Seena kahan se milta soney bhi wo na paaee Zakhmon ko ansooyon ko dhoney bhi wo na paaee Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha
4. Rukhsaar neelgoon hai kurta phata huwa hai Kanon se khoon hai jaari zakhmon ka silsila hai Har naaz uthane wala karbal mein so raha hai Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha
5. Beemar-e-Karbala per tooti naee musibat Nanhi si laash per kya hasrat baras rahi hai Hoti hai dafn beti Maa dekhti khari hai Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha
6. Ek aakhri wasiyat Bhai se usne ki thi Lekin wasiyat uski poori na hone paee Zidaan hi mein Rasheed ab turbat baney gi uski Abid utha rahein hein apni bahan ka laasha
|