Mat kar Hame Qabool, Aye Nana (sawaw) ke Madinay,
Medina Aagaya jub yeh sada ubhar ne lagi yeh pusht e naka se Kusloom (sa) bain kar ne lagi luta ke aaie hai Zehra (sa) ke hum gharane ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko... (2) luta ke aaie hai Zehra (sa) ke hum gharane ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
bataie kaise jo hum par guzar gaya mehshar sare Hussain (as) tadap ta tha noke naiza par har ek shaher me mare gai humein patthar Hamare chehro ke janib thi shamion ki nazar na hath me the yeh assas mooh chupane ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
bichad ke apni bahan se dubara mil na saki, woh dil me legai hasrat Madinay aane ki musibanon ke andheron me chal basi bacchi humein rehai mili woh hai aaj bhi kaidi basaliya hai Sakina (sa) ne kaid khane ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
medina lut gai sarkar tere wali ki tere Hussain (as) ke sukhe gale pe teg chali bacha na Aabid e bimar (as) ke siva koi hamari godhian pardes me hui khali kadam uthai e nahi jaate ghar me aane ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
gali gali me phiraya gaya garibon ko kadam kadam pe rulaya gaya garibon ko bicha ke kante chalaya gaya garibo ko tamsh giron me laaya gaya garibon ko sawab samjhaya gaya hai humein satane ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
tarah tarah se sitamgar humein state the woh taziano ki beemar ko dawa dete utha ke saye se woh dhoop me bitha dete garib Zehra (sa) ka pursa bhala wo kya dete. naa aaya koi rida bhi humein udha ne ko Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
na likh sakega taklalum samaa woh tera kalam the gird Ahle Medina Ajeeb Tha Alam Yeh keh ke logo se utre siyanh pos haram yehan pe chal ne se honga Hussain (as) ka matam taras gaie the hum ashke aza bahane ko. Na kar qubool Madinay hamare aane ko..... (x2)
|