Ya Muhammad(sawaw) aisi izzat aap ne payi ke bas
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Ya Muhammad(sawaw)

Aisi izzat aap ne paye ke bas
Ki Shab e Israa Khuda ne wo pazerai ke bas

Aik pal may Mustafa(sawaw) ko arsh par bulwa liya
Apnay banday ki Khuda ko aisi yaad aayi ke bas

Gintay gintay thak gayeen taron ki nazuk ungliyan
Mustafa(sawaw) Murtaza(as) ke hain zameen par itnay 

shaidayi ke bas

Aik din may likhnay baitha tha shab e hijrat ka haal
Kia kahoon yaron mujhe bhi aisi neend aayi ke bas

Phir khayal aayi ilahi kaisi ho gi Zulfiqar
Samnay ankhon ke aisi barq lehrayi ke bas

Kat kar Marhab ko jab pohonchi zameen par Zulfiqar
Shahpar e Jibreel se forun sada aai ke bas

Dekh ab bhi waqt hay daman e Ahmad(sawaw) tham le
Warni kal mehshar may ho gi itni ruswayi ke bas

Mushkilon may har gharri nad-e-Ali(as) se kaam lo
Ye dua to roz e khaibar itni kaam aayi ke bas

Mol leen khaliq ne jannat ke aiwaz kuch rotiyan
Fatima(sa) ke maal ki thi itni mehngayi ke bas

Un farishton ne abhi poocha hi kiya tha aey Sarosh
Dafatan meray sirhanay se sada aayi ke bas