Zameen-o-zaman tumharay liye
Makeen-o-makaan tumharay liye
Chuninee-ochunan tumharay liye
Banay do jahan tumharay liye
Dahan may zuban tumharay liye
Badan may hay jaan bumharay liye
Ham aaye yahan tumharay liye
Uthain bhi wahan tumharay liye
Isharay se chand cheer diya
Chupay huay Khur ko phair diya
Gaye huay din ko Asr kiya
Yeh tab-e-tawan tumharay liye
Na Rooh-e-Ameen na arsh-e-bareen
Na Arsh-e-bareen na loh-e-mubeen
Koi bhi kaheen khabr hi nahi jo ramz khulay
Azal ke nehaan tumharay liye
Yeh shams-o-qamar yeh sham-o-sahar
Yeh barg-oshajr yeh bagh-o-samar
Yeh tegh-o-sipar yeh taj-o-qamar
Yeh hukm-e-rawan tumharay liye
Sab aao chalain ke bagh phalain
Woh phool khile ke din ho bhalay
Liwa ke talay salam-e-khulay
Raza ki zuban tumharay liye
|