Tere Qadmo me aana mera kaam tha Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Tere Qadmo me aana mera kaam tha Meri Kismat jagaana Tera kaam he Meri aankho ko he, deed ki arazoo Rukh se Parda uthaana Tera kaam he Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen Tere faiz-e karam ki to hud hi nahi Jin ko duniya me koyi na apna kahe unko apna banana Tera kaam he Baaraa bat�ta he Sultaane Kaunain ka Sadqa Moula Ali Sadqa Hasnain ka Sadqa Khwaja Piya Ghous Saqalain ka Sadqa Sultan Bahu Peer Kaamil ka Haaziri hogayi ye bhi in�aam he Mere dil me teri yaad ka raaj he Zahne Tere Tassawur ka muhtaaj he Har ek nigahe karam me meri laaj he Laaj meri nibhaana Tera kaam he Pesh har aarazoo har tamana karoo Thaam loo Jaaliya iltija ye karo Mangne waalo daaman kushaada karo Noor waale ka Faiz-e-karam aam he |