Yadon se teri dil ka ajab haal hua hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Yadon se teri dil ka ajab haal hua hay Armanon ka ghar din ke ujalon may luta hay Aey wajhe Khuda chehre say parday ko hata day Ab jo hay usay hasrat e deedar e Khuda hay Be wajha nahi utha hay daryaon may toofan Kia hijr ka kuch haal areezay may likha hay Khaliq ne banaya tujhe hamnam e payambar Har lab pe teray naam par ab salle ala hay Islam ki awaz hay eeman ka andaz Quran tera kirdar hay firdos ata hay |