Hussain(as) jaate hain Qasim(as) ki lash uthanay ko Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Hussain jatay hain Qasim ki lash uthanay ko Dil e shikasta pe ik aur zakhm khanay ko Ik aur manzil e sabr o raza barrhanay ko Jigar ke tukrray bayaban se chun ke lanay ko (x2) Nahi ke rehlat e Qasim ka kuch malal nahi Laraz rahay hain qadam dil magar nidhal nahi (x2) Barrhay jo ghaiz may Shabbir soey foaj e jafa Ali ki taigh ne ik hashr kar diya barpa Udhar ko murr gaye ghorray jidhr ko munh utha Parra tha bhagti fojon ki raah may lasha (x2) Kiya jo phir ke sawaron may rukh soey Qasim Sumon se ghorron ke pamal ho gaye Qasim (x2) Qareeb e lasha e Qasim jo pohonchay Sarwar e deen To aisay haal may aaya nazar wo jism e haseen Ke thorri dair to aa hi na saka dil ko yaqeen Kaheen tha kuchla hua jism dast o pa thay kaheen (x2) Ik aah bhar ke Shah e deen zameen pe baith gaye Jahan kharray thay laraz kar waheen pe baith gaye (x2) Laboon pe sabr ki bandish thi dil may hashr bapa Kuch aur barrh ke zameen se katay huay aaza Na janay kaisay tan e muntashir ko jama kia Aba may rakh ke uthaya janaza Qasim ka (x2) Laraztay hathon pe jaise paharr uthaey huay Chaly Hussain soey khaima sar jhukaye huay (x2) Magar ye sochtay jatay thay dil may sibt e nabi May jab chala tha to khaimay ke dar pe theen bhabhi Haram may pohonchon ga jab le ke lash Qasim ki Bajaey lash ko dekhain gi khoon bhari gathrri (x2) Ye sar ko dekh ke yun paimal ka ho ga Hay ghair hal mera maa ka haal kia ho ga (x2) Haram may pohonchay to dekha ke hashr hay barpa Bilak rahi hay Sakina khamosh hay Kubra Tarrap ke maa ne soey lash e pisar dekha Jigar to tham ke boleen ye kia hua bhayya (x2) May yeh to janti thi sar katayain gay Qasim Ye kia khabar thi key un pis ke aayain gay Qasim (x2) |