Nad-e-Ali ka zikr jo karti chali gaye
Efforts: Syed-Rizwan RizviNaad e Ali ka wird jo karti chali gayi
Umre rawan sukoon say guzarti chali gayi

Jis nay dar e Hussain pe sar ko jhuka diya
Wo shakhsiyat jahan may ubharti chali gayie

Deewana waar loag bhi martay chalay gaye
Taigh e Ali jidher say guzarti chali gaye

Marhab hawa may uchla jo kha ker Ali ki zarb
Haathon se taigh pairon se dharti chali gayi

Duniya se zikr e Aal e Muhammad na ruk saka
Duniya yeh aarzoo liye marti chali gayi

Maidan me tegh dasht me tegh-e-Ali na pooch
Sar se chali badan mei utarti chali gayi

Fouj e udu pay daal ke ek sar sari nigaah
Sar ko uraati sar se guzerti chali gayi

Maot aarahi thi dekha jo lab per Ali ka naam
Mujh se mile bagair guzarti chali gayi

Gohar lahad me pohancha jo ashk e aza liye
Ik roshni lahed may utarti chali gayi