Fursat milay to soch samajh kar jawab do Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Fursat milay to soch samajh kar jawab do Hay kon janasheen e Payambar jawab do Baiyat sawal ho to mukarrar jawab do Ik lehja e azaan may bahattar jawab do Sooron ko hifz kar ke koi faida naheen Quran ki aayaton ko samajh kar jawab do Hay kon kainat may Abbas ke siwa Jo rok lay nigahon ka lashkar jawab do Wo kon hay batao zara jis ke wastay Khutbay ko roktay hoon Payambar jawab do Kehnay ko soorma to bohat thay jahan may Kis ne utha liya dar e Khaibar jawab do Soya hay kon chain se taighon ki chaoon may Hay kon aik shab ka Payambar jawab do Zikr e gham e Hussain ka tum par asar nahi Pehlu may dil hay ya koi pathar jawab do Jab keh chukay ghadeer may bakhin laka Ali Nazron may kyin khatkta hay mimbar jawab do Kis ne lahoo se dasht may likha hay La ilah Jeeta hay kon sar ko kata kar jawab do Zoar e nazar se jis ko bhagaya tha shair ne Kiya ho gaya wo Shaam ka lashkar jawab do Pani samait layain hain Abbas mashk may Kia reh gaya Furaat ke andar jawab do Chorrain na gar nihar to Qambar bhi kia karain Hay josh may sakhawat e Haider jawab do Nara Ali ke naam ka kartay hain ham buland Behr e saboot e daman e madar jawab do Maloom hay har aik ko roza Hussain ka Hay turbat e Yazeed kahan par jawab do Asghar se maa ke sheer ki taseer ne kaha Beta! sitam ke teer ka hans kar jawab do |