Surmayi sham ke mahool may khonay walo Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Surmayi sham ke mahool may khonay walo Kis taraf jao gay jab subh e qayamat ho gi Saf e Awwal may ameeron ko bulaye ga Imam Kia khabr thi ke musallay pe siyasat ho gi Zo fishan dahr may jab sham e Imamat ho gi Munkir e ghaib pe har simt se lanat ho gi Janamz apni jo pani pe bichain gay Huzoor Hath jorray kharri mehrab e ibadat ho gi Pairahan taqway ka ankhon ko pinhao warna Nangi aankhon ko na Mehdi ki ziarat ho gi Jin ki peshani ne chooma na kabhi khak e shifa Aisay logon ki bhala kaise shifaat ho gi Pyas us us ki bujhain gay Ali Kausar se Jin ke roomal may Zehra ki amanat ho gi Deen e Islam pe aanch aaye gi jab jab Meesam Panch Bara ki Bahattar ki zaroorat ho gi |