Jab aaya e Balligh teray tewar nazar aaye Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Jab aaya e Balligh teray tewar nazar aaye Dunya may Ali sab se qad aawar nazar aaye Sooraj ki kaheen dhoop kaheen ishq ka saaya Ik waqt may do tarha ke manzar nazar aaye Kis waqt chali teegh e Ali kuch nahi maloom Maidan may faqat urrtay huay sar nazar aaye May chashm e tasawwur may wahan jab bhi gaya hoon Mujh ko dar e Zehra pe Payambar nazar aaye Hathon se meray choot gaya saghar e Kausar Kausar pe jo khud saqi e Kausar nazar aaye Ailan wilayat ka hazaron ne suna tha Mangi jo shahadat to bahattar nazar aaye |