Taqat sameeti dunya ne Khaibar bana diya
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Ya Ali 

Taqat sameeti dunya ne Khaibar bana diya
Phir kia kia Khuda ne ke Haider bana diya

Bint e Asad chaleen jo soey khana e Khuda
Kaabay ne un ko dektay hi dar bana diya

Kia cheez hay ye bughz e Ali sochta hoon may
Is ne to kalma goyon ko kaafir bana diya

Kia kehye Rab ne khud Abu Talib ki goad may
Koyi Imam koyi payambar bana diya

Molod e Kaaba dil may hay sajday ko aaye hain
Dil ko bhi us ne kaabay ka mazhar bana diya

Hijrat ki aik raat may kuch bhi hua magar
Poocho Ali ko kis ne payambar bana diya