Ye Jo Fizza ne ki nokri hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Ye Jo Fizza ne ki nokri hay Shehenshahi se bhi qeemti hay Habsh ko chorr kar, Us se munh moar kar, Syeda ki Ye jo Fizza ne ki nokri hay Dahr may dekh lo har jagha par Bohat mashhoor in ki wafa hay Ik hay Abbas aur ik hay Fizza Farq in may bhala kaun sa hay Mujh se poocho to (x2) farq wafa ka Ik hay Chand aur ik Chandni hay Habsh ko chorr kar, Us se munh moar kar, Syeda ki Ye Jo fizza ne ki nokri hay Ashk beh beh ke ye hain batatay Ye maqam e aqeedat hay kaisa Poori dunya may kuch to bataye Martaba hay mila kis ko aisa Us ko kis naam se (x2) may pukaroon Jis ke daman may Zainab(sa) pali hay Habsh ko chorr kar, Us se munh moar kar, Syeda ki Ye jo Fizza ne ki nokri hay Seh ke koi dikhaye zara ab Is ne mushkil jo sar pe sahi hay Karbala ho ya Sham e ghareebaan Har jagha sath hi ye rahi hay Jis se bandhi thi zalim ne Zainab(sa) Us rasan se hi Fizza bandhi hay Habsh ko chorr kar Us se munh moar kar Syeda ki Ye jo Fizza ne ki nokri hay Ja rahay ho magar yad rakhna Be ijazat lahad may na jana Roab us pe na hargiz jamana Baat kartay huay sar jhukana Dar haqeeqat wo (x2) meray Nabi(sawaw) ko Fatima(sa) ki tarha ladli hay Habsh ko chorr kar, Us se munh moar kar, Syeda ki Ye jo Fizza ne ki nokri hay Ham ne dekha wahan ham se pehlay Ambiya sar jhukaye huay hain Sakht parda hay lotay hain foran Us ke mehman aaye huay hain Le ke beton ko (x2) Fizza se milnay Lehad may Fatima(sa) aa gayi hay Habsh ko chorr kar, Us se munh moar kar, Syeda ki Ye jo Fizza ne ki nokri hay |