Dua Fatima ki hum ehl e azaa hain
Hume aazmaane ki koshish na karna
Muqallid hain Meesum ke daar o rasan se
Kabhi bhi daraane ki koshish na karna
Dua Fatima ki
Vilayat ke munkir sai yeh keh rahi hay
Lahoo ki taharat sada de rahi hay
Najaf ki zameen hai saqifa nahi hay
Yahan aap aane ki koshish na karna
Dua Fatima ki
Wahan bhi Ali ne ki mushkil kushai
Lehed ke sirhane sai aavaaz ayi
Azaadar e Sarwar hay soonay do isko
Farishtoon jagaane ki kooshish na karna
Dua Fatima ki
Kajaavon ka mimbar banaya Nabi ne
Ye hukm e Khuda hay bataya Nabi ne
Ali ke siwa jaa nashin e Muhammad
Kisi ko banane ki koshish na karna
Dua Fatima ki
Musalsal hay pehera wahan anbia ka
Jahan par saja hay alam bawafa ka
Khabardar kehde koi mushkilon say
Wahan aane jaane ki koshish na karna
Dua Fatima ki
Khuda hukm deta hay mere Muhammad
Kiye jayen sajdoon pe sajde Muhammad
Hussain aap ki pusht par aa gaye hain
Abhi sar uthane ki koshish na karna
Dua Fatima ki
Khuda ki qasam shak nahi isme koi
Nigehban khud hay Muhammad ki beti
Charagh e azadaari jalta rahega
Hawaon bujhaanay ki koshish na karna
Dua Fatima ki
Hay nokar Ali ka azal se mizajan
Bigarh jaye ga misl e toofaan fauran
Takallum ke aage uduve Ali ka
Qasida sunane ki koshish na karna
Dua Fatima ki Hum ehl e azaa hain
Hume aazmaane ki koshish na karna |