Farishtay aa rahay hain karwan dar karwan Asghar Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Farishtay aa rahay hain karwan dar karwan Asghar Tera roza zameen par hay jawab e aasman Asghar Kabhi Sughra ki banhon may kabhi Sarwar ke hathon par Zameen par tu ne apnay paoon rakhay hi kahaan Asghar Suna hay chowdween ka chand to shab ko nikalta hay Magar tu ho gaya hay asar se pehlay nihaan Asghar Woh hay Shabbir ka khaima to yeh hay jang ka maidaan Wahan par be zaban Asghar yahan par naujawan Asghar Teray sookhay laboon par jab tabassum ne kiya sajda Utha saton samandar ke kalejoon se dhuwan Asghar Falak se toot-tay badal zameen se phoot-tay chashmay Ragarrta misle Ismael tu bhi airryan Asghar Sitam ka teer seedhay deen ki gardan par lag jaata Tera sookha gala gar cheh na aata darmayan Asghar Na deta gar sahara tu tabassum ke satoonon ka Kabhi ka gir gaya hota zameen par aasman Asghar Andheron se larrayi ho rahi hay aik sooraj ki Udhar lakhon yazeedi hain idhar ik bezaban Asghar Mujeeb e kam sukhan karta rahay tazeem ka sajda Jabeen e naz ko mil jaye sang e aastan Asghar |