Ya Muhammad(sawaw) - aisi izzat aap ne paayi ke bas Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Ya Muhammad(sawaw) Aisi izzat aap ne paye ke bas Ki Shab e Israa Khuda ne wo pazerai ke bas Aik pal may Mustafa(sawaw) ko arsh par bulwa liya Apnay banday ki Khuda ko aisi yaad aayi ke bas Gintay gintay thak gayeen taron ki nazuk ungliyan Mustafa(sawaw) Murtaza(as) ke hain zameen par itnay shaidayi ke bas Aik din may likhnay baitha tha shab e hijrat ka haal Kia kahoon yaron mujhe bhi aisi neend aayi ke bas Phir khayal aayi ilahi kaisi ho gi Zulfiqar Samnay ankhon ke aisi barq lehrayi ke bas Kat kar Marhab ko jab pohonchi zameen par Zulfiqar Shahpar e Jibreel se forun sada aai ke bas Dekh ab bhi waqt hay daman e Ahmad(sawaw) tham le Warni kal mehshar may ho gi itni ruswayi ke bas Mushkilon may har gharri nad-e-Ali(as) se kaam lo Ye dua to roz e khaibar itni kaam aayi ke bas Mol leen khaliq ne jannat ke aiwaz kuch rotiyan Fatima(sa) ke maal ki thi itni mehngayi ke bas Un farishton ne abhi poocha hi kiya tha aey Sarosh Dafatan meray sirhanay se sada aayi ke bas |