Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko Ik aan-na raahat thi-na araam haram ko Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se Zindaan larazta tha (x2) Sakina ki fugha se
Allah jaane, kaha ho aey baba (x2) Baba kitni raate guzar gayi baba, Allah jaane, kaha ho ay baba
Chotay se sin may qaydiye zindaan ho gaye (x3) Baba mei kyu na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2) Itni raatain guzar gayeen baba
1. Dil mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaan Kisko kahun mei baap mere, baap hai kahaan Tum be-kafan mei be-saroo samaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
2. Kya kya na khalq karne hakarat se behgayi Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
3. Gar aah ki to shimr pukara khamosh ho Aur chup huwi to be-padari ne kaha ke ro In afato mei girke pareshaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
4. Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye Shehzaadi-e-hussain ki ye shaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
5. Sadke gayi bataawo kaha hai mere padar Aaye padar to jaaye sakina bhi apne ghar Kyu aise zalimon ki mei mehman hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
6. Pothi hun uski jo ke hai kohnain ka ameer Jisne hazaro qayd se chudwaaye diyey aseer Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
7. Jab sarpe shah-e-deen ke sakina ne phiri nazar Chillaayi roke haye gazab mar gaye padar Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
8. Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waar Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
9. Bas ay "ANEES" bazm mei hai giryaa-o-buka Sadiyoon talak rulaayenga sabko ye marsiya Bali sakina qarb ka unhwaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
|