Ek bachchi phhol si jis ka Sakina naam tha Ro rahi thi Shaam ki rahon mein wo karke buka Kartay thay tum kitna pyar baba Aey mere naiza sawar baba (x3)
1. Chal nahi sakti sakina raaste dushwar hay Aablay hein pawon mai or aablon may khar hay Ankh hay nam dil figaar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
2. Neelay hain rukhsaar mere, aur gale mai hay rasan Tashnagi be waarsi lachargi or be watan Aik hay dil gham hazaar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
3. Aap ke sine pe baba chein se soti thi may Aap tarrapte jo kisi bat pe roti thi may Roti hu zaaro qatar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
4. Be rida sab bibiya hain Shaam ka bazaar hay Zabte gyara nahi hay sabr bhi dushwar hay Sabr ke parwardigar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
5. Milna sakungi kabhi may aap se aey baba jaan Aap ka roza bane ga Karbala ke darmiyan Shaam me mera mazar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
6. Yaad isi baat pe aata hay ghar aksar mujhe Aaj kanizi mai bulata hay sitamgar mujhe Koi nahi gham guzar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
7. Khati thi jab bhi tamache Shimre sitamgar se Aap ke chehre ki simth be kasi aur yaad se Dekhti thi bar bar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
8. Kon hay pursane haal pyas bujhaye ga kon Baliyan meri sitamgaro se dilayen ga kon So gaye sab jaanisar baba Aey mere naiza sawar baba (x2)
|