Azadaro dua mango, koi aise yateem na ho Jaise Sakina yateem hui, Shaam ke Zindaan may Jab Sakina ko Baba ka sar mila Lipta ke sar ko seenay se, bachi ne yeh kaha Kha gaye Shaam ke zindaan may andheray baba (x2)
Kisko kehte hay yetimi ye, suna tha maine Aap ke baad ye ehsaas hua hay baba
1. Aap ke baad yetimi ki saza paayi hay, Etni tanha hun ke saaya hay - na parchaayi hay, Rat ro-roke guzarti hay, to din maatam may, Qaid khane may yuhin saal kata hay baba
2. Zindagi meri dukhoon say hay ibarath baba, Kaisi qismat ne dikhaayi hay musibath baba, Mai jo rotii hun to lagte hay tamache baba, Aap ki yaad mei rona bhi saza hay baba
3. Haey, Ashk aankhoon say nikalte hay, Lahu kaano say, Ab darindoon say nahin khauf, hay insaanoo say, Ek majbur yetimaa par - sitam dhaate hay, Meri taqdeer mai durroon ki jafaa hay baba
4. Aap ki tarha say rooute hay ujaale baba, Kaun zindaan say ab mujko nikale baba, Tune mangaa tha duwa-O-mai khuda say jisko, Ab wohi beti hay zindaane jaafa hay baba
5. Kitne armaa thay ke zindaan say may ghar jaaungi, Aisa lagta hay yehi ro ro ke mar jaungi, Ye sitamgaar Sakina ko kafaan kya denge, Kya kafan aapke lashe ko mila hay baba
6. Haey, Baba kehte hain ye zindaan ke andhere mujh se, Maut hi aayegi ab mujh ko, dilaasay denay, Meri har saaans hi rehti hay sitam ki zad par, Aise jeene say to marna hi bhala hay baba
7. Zakm laakhon hay kalaije may, dikhaun kaise, Mujh pe jo beet rahi hay woh bataun kaise, Pyaas lagti hay to pilati hun aansoon apne, Shimr ke durray Sakina ki ghiza hay baba
8. Lafz MAZHAR ne jo likhay hain, Lahooo roote hain, SHADMAN aankh say yun ashk-e-aza behte hain, Aisa lagtaa hay ke zindaan say, sada aati hay Aisa nawha meri ghurbath pay likha hay Baba
|