Mayyat hay Sakina ki andhera haey zindaan (x2) Allah na dikhlaye ab aisa zindaan Mayyat hay Sakina ki andhera haey zindaan (x2)
1. Kurte ka kafan, ghusl, diya aashkon se jisko Dafnaya use kaise ye Sajjad se poocho Khamosh huwi bachi (x2) to rota raha zindaan
2. Urte huwe dekhe jo parinde to pukari Aey taeron Sughra ko khabar do ye hamari Tum khush raho Sughra (x2) meri kismat may tha zindaan
3. Kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha Khaimo may lagi aag to daaman bhi jala tha Tanhaai may bachi ko (x2) dasta raha zindaan
4. Sehmi hui rehti thi sitamgaaro ke dar se Shikwe kiya karti thi faqat baap ke sar se Likha gaya qismat may (x2) ye kaisa zindaan
5. Ab khaakh pe soti hoo na takiya hai na bistar Rakta nahi ek shamma koi ab to jala kar Jeene nahi deta (x2) aey baba ye zindaan
6. Kehti thi phuphi qaid se kab hogi rehaai Amma mere ammu ki, khabar kyun nahi aayi Tukre kiye deta hay (x2) kaleja mera zindaan
7. Sar baap ka paaya to phir is tarha se soyi Phir royi nahi uske liye maut thi royi Deta raha Sajjad ko (x2) pursa sada zindaan
8. Maa kehti rahi aao utho neend se jaago Azaad hui qaid se may jaati hoon ghar ko Milne chalo Sughra se (x2) ke ab khul gaya zindaan
9. Ghar jaane ka armaan tha Sakina sma ko jo REHAN Mar ke bhi na pura hua us bachi ka armaan Masoom Sakina ka (x2) marqad bana zindaan |