Meray lahoo ke har qatray may goonj raha hay ya Hussain Ab to sab ka wird-e-zabaan bhi rehnay laga hay ya Hussain
1. Aap ki kya shaan hay maula, bolta quran hay maula Fatema ki jaan hay maula, marzi-e-subhan hay maula
2. Karbala ka fatehay azaam, ba khuda hay waris-e-Adam Ja bajaa phele tere parcham, ta abad hoga tera matam
3. Teen din ki tishnagi maula, haaye teri bekasi maula Khushk gardan par churi maula, karbala kehti rahi maula
4. Kistarha bhoolenge woh manzar, jab chala tha halq pe khanjar Jab sina ki nok pe tha sar, bolta Quran tere lab par
5. Ye sabileen ye azakhane, aankh mei ashkoon ke paymaane Matami laaye hay nazraane, ab janaab-e-Sayyeda jaane
6. Ye teri maula azadari, zindagi se bhi hamay pyaari Hai yahi tujse wafadari, ashk ankhoon se rahe jaari
7. Waris-e-quran zindabaad, rehbar-e-insaan zindabad Mazhar-e-imaan zindabad, Fatema ki jaan zindabad
8. As-salaam ay malike kausar, as-salaam ay kushta-e-khanjar As-salam ay jaan-e-payghambar, kehte hay REHAN aur SARWAR
|